Jis mohabbat ki ab kwahish bhi nahi thi
Ki lagta tha us mohabbat ka waqt gujar gaya
Umar ke is mod par mil gaya mera sathi
Bas us pal se meri duniya me sab badal gaya
Na socha tha kabhi dil me itna pyar tha
Shayad tum mile Na the is liye chupa rakha tha
Dost se pyar ka safar itna jaldi tay kiya humne
Tum kareeb the par meri jindagi ho ye Na socha tha
Pyar kitna pyara hai tumhare sath ye jana hai
Ek sukun ka ahsah dil me bhar deta hia
Apne rishte ho kisi bandan me bandha humne
Par ek majbut dhaga hai Jo dilo ko jod deta hai
No comments:
Post a Comment